Friday, 5 April 2013
PANI KI AHMIYAT
Pani
qudrat ka anmol tohfa hai jo khuda tawala ny hamen atta kiya hai pani
har jandar k liye bhot zarori hai bhagair pani k koi bhi jandar zinda
nhi reh sakta pani ki qilat roz baroz pori duniya mai barh rahi hai jis
ki pehli waja duniya ki barhti howi abadi hai or dosri pani k zakhiron
mai kami hai jis ki waja say duniya mai do billion log pani ki qilat ka
samna kar rahay hain or ye tadaad barh kar teen billion tak pochny wali
hai duniya bhar mai 3.5 million log pani ki kami ki waja say mout ka
shikar hojaty hain jis mai say 99 fisad tarakqii pazir momalik mai say
hoty hain pakistan mai pani ki shadeed kami hai jis ki aik bari waja
barhti howi abadi hai or pani zakheera karny k liye demon ki kami hai
pakistan aik zaraee mulk hai or is ki tarakqi k liye pani bhot zarori
hai pakistan mai kaee log pani ki qilat ka samna kar rahy hain or jin ko
pani moyasar hai wo intahaee kharb halat mai hai jis ki waja say log
kaie jan lewa bimariyon ka shikar ho rahy hain agar ab is par tawaja na
di gae to pakistan anny waly waqton mai pani ki shadeed qilat ka samna
kar sakta hai.
KEYA YE THA QUAID-E-AZAM KA PAKISTAN?
Quaid-e-azam
ny jab Pakistan banaya to unho ny ye khawab dekha tha k ye mulk tarakqe
yafta mulk banyga or yahn k log ab sakon say apni zindagi guzar sakengy
q k Pakistan is waja say wajod mai laya gaya tha k hindustan mai jo
muslamno k sath hony wali zaiyadti or tashdood say wo nijate hasil kar
saken agarchy hindustan mai bhot si qumain abad thin jin mai hindu or
muslim do bari quomen thin jin k apas mai akhtalafaat bhot zaida barh
gae thy to quaid-e-azam or hamry bary bary rehnomaion ny ye socha k
hindu or muslim alg alg quomain hain ye aik sath mil kar nhi reh saktin
is liye musalmon k liye aik alg mulk banaya gaya jahn musalman sakon say
reh saken jahn koi firqawarana fasadaat na hon magar afsos Quaid-e-azam
ka ye khowab to chiknachor hogaya q k yahn to har taraf firqawarana
fasadaat or taassub phel chuka hai hamary quaid ny to jamhoriyat chahe
thi magar badqismati say Pakistan ko kabhi sahee jamhoriyat mil hi nhi
saki pakistan zaida tar amriyat k zamray mai raha Quaid-e-azam or
Liaquat ali khan k bad jo bhi aya us ny mulk k bajaye apni tarakqi k
liye koshishen ki or mulk ko beroni momalik or beroni idaron k qarzon
mai jakar diya or ab hamri anny wali naslen bhi in ki maqrooz hain
Pakistan ko waisay to bany howy 65 saal chuky hain magar aj tak un
maqasid par amal nhi keya gaya jin ko madday nazar rakhty howy Pakistan
wajood mai laya gaya tha Pakistan banny say pehly jo qarardad manzor
howi thi wo 1940 ki qarardad maqasid thi is k taqreban sath saal bad
pakistan wajod mai aya ye mulk hum ny lakhon logon ki janoon ka nazrana
day kar hasil keya tha Quaid-e-azam qayam pakistan or qayam pakistan say
paida hony waly masail ko hal karny mai abhi masroof thy k qudrat ki
taraf say bulawa agaya abhi quam un k gham ko bholi nhi thi k Liaquat
ali khan k qatal ka sanyha paish agaya us waqt say lay kar ab tak
pakistan baironi or androni jangen lar raha hai in k bad jo hukmaran aye
unho ny pakistan ka naqsha hi badal diya Pakistan ko do hisson mai
taqseem kar diya gaya mashreeqi pakistan or maghribi pakistan mashreeqi
Pakistan Bangladash ban gaya or unho ny pakistan ko dosry mulkon ki
jangon mai shamil kar diya jis ki waja say Pakistan ko bhot noqsan ka
samna karna para hai naqis hukomaranon ny mulk ko aisa kar diya k mulk
maashii badhali ka shikar hogaya hai jo atta tha wo apni jeban bhar kar
chala jata tha or aj tak yehi ho raha hai Quaid-e-azam ny Pakistan is
liye banaya tha k wo zameen ka asia hissa ho jahn musalman azadi say
apny deen par amal kar saken aur tamam mazhib ko is ki azadi ho tamam
logon ki janno maal izat o abroh mehfoz rahai or aik taleemyafta or
bashoor awam ho magar afsos in maqasid mai say koi bhi maqsad pora na ho saka keya ye tha Quaid-e-azam ka Pakistan?
KIYA HUM YE JANG HAR RAHAY HAIN??
Har saal 24 march ko Tuberculosis (TB)ka
almi din manaya jata hai jis ka maqsad duniya k tamam logon ko TB ka
shaoor dayna hai aur is ko khatam kar ny k liye iqdamat karna hai har
saal duniya k 1.7 million log is say mout ka shikar hojatay hain jis mai
say zaida tar teesri duniya k bashinday shamil hain 24 march 1882 mai
Doctor Robert Koch nay TB ka jaraseem daryafat kiya jis k bad 1996 mai
World Health Organization nay 24 march ko TB ka almi din manany ka
aillan kiya jis ka maqsad is bemari ko rokna or is ka khattma hai
Pakistan mai teezi say pehlnay wali bemariyon mai say aik bari bemari TB
hai .TB aik jaan lewa bemari hai jis say har saal lakhon afrad mout ki
neend so jaty hain hamary mulk mai 1.5 million log TB ka shikar hain har
saal das lakh mai say tees log TB ka shikar hojaty hain aur 24% mareez
jo hain wo TB k hospitals tak nhi poch patay is bemari k ibtadaee
symptoms do hafty say zaida bukhar, khansi or kamzori hai ye aik aisi
bemari hai jo aik TB k mareez say dosray insan ko montaqil hosakti hai.
TALEEM PAKISTAN KI ZARORAT
Pakistan
mai din ba din taleem ka rojhan kam say kam hota chala ja rah hai
hanlaky taleem hasil karna har insan ka haq hai magar hamary mulk mai
sirf 55% fisad log taleem yafta hain yehi waja hai k hum takqee yafta
momalik say bhot zaida pechy reh gayen hain kyon k hamary yahan taleem
ki bhot kami hai agar taleem hi nhi hogi to hum kis tarha dosri takqee
yafta qumon ka muqabla karengy taleem hasil karna to har mard orat par
farz hai magar hamara mulk jis ka naam islami jamhoriya pakistan hai
yahan to taleem ka fuqdan hai or uper say sony pay sohaga hamary
hukmaran jinhon nay taleem par kabhi tawaja nahi di taleemi idaron ka is
qadar naqis haal hai k wahan taleem kay bajayee bhensoon k baray bana
diye gayen hain ye to hamaray mulk mai taleemi idaron ka haal hai hamary
mulk k deehii ilaqon mai taleemi idaron ka bhot bura haal hai jahan
asatza hi taleemi idaron mai mujood nhi hoty hain aisay halat mai tulba
taleem hasil karny say qasir hain hamary mulk mai bhot zaida log aisay
hain jo apny bacho ko taleem hasil karanay ka bajaye un say kam karwaty
hain kyon k un k pas itnay wasayil hi nahi hotay hain kay wo apnay
bachon ko taleem hasil kar wa sakayen magar afsos hamari hukomat is par
koi tawajja nahi dayti hai in hukomarano ko apni jaiben bharnay say
forsat hi kahan hai hamary budget ka khali do fisad taleem par kharch
kiya jata hai jo kay bhot hi choti sharah hai pakistan kay taleemi nizam
mai bhi firqawariyat basi howi hai gareeb kay bachon kay liye taleem ka
miyar kuch aur hai or ameer kay liye kuch or hai hamary mulk mai taleem
ko tejarat bana diya gaya hai aur taleem paison say milti hai or paisa
hasil karnay k liye li jati hai jab kay taleem ka maqsad paisay ka
husool nahi balkay logon ko shaoor hai or aik acha insan or aik acha
shehri banana hai hamray mulk mai sab say gair ehm taleem ko samjha jata
hai agar hamary mulk mai taleem ka shoba durost kar diya jaye to bhot
say bary masayel hal ho sakty hain jis mai aik bara masla dehshat gardi
ka hai jo taleem kay zariye logon ko shaoor day kar khatam kiya ja sakta
hai.
AIK TAREEKHI DIN
25
March PAKISTAN ki tareekh ka khowbsorat din jis mai pakistani qoum nay
aik bhot bari khushi hasil ki world kab ki surat mai ye world cup
PAKISTAN nay ENGLAND k khilaf 1992 mai aik bhot hi umda kaarkardagi k
nateejay mai hasil kiya us din PAKISTAN fatah say humkinar howa is world
cup ko jeetnay k nateejay mai quom ko aik bhot bari khushi milli or
qoum mai itihad paida howa ye wahid 50 50 ka world cup tha jo PAKISTAN
nay hasil kiya or ye PAKISTAN cricket ki tareekh ka aik sunherah din
hai.
Monday, 4 March 2013
karachi ko khoon mai nehla diya gaya:
karachi mai dehshat gardi is qadar bhar gaye hai k log ab apny ghron mai bhi mehfuz nhi hain guzista din karachi k eilaqy abas town ko dehshat gardon ny nishana banaya or 52 masoom afrad ko mout ki nend sula diya or eik dhamky k baad foran hi dosra dhamaka howa logn ny apni maadad ap k tehat imdadi kam kiye q k hamari hokomat hamisha ki tarha so rahi thi police,rangers apny apny gharon mi aram farma rahi thi or is sanihy k bad bhi na to police pohchi or na hi hamry hukmarno ny pocha q k unko mulk ki kuch fikar ho tab na unhai to bas apni kursi say piyar hai abas town mai qayamt sugrah agayee or is naqis hukomat ny kuch nhi keya halaky in ko pehly say pata sab hota hai pashangoyan karty rehty hain magr dehsshat gardon ko kabhi nhi pakrty akhir q? ye masoom awam ko marna q chahty hain? akhir kab karachi mai aman hoga? roz hi bara say pandra afrad mary jaty hain in ki hukomat mai takreeban das hazar logn ko karachi mai mar diya gaya magr hmari hukomat ny kuch nhi kiya wohi awam say jhoty wady k hum ny ye kam kiya wo kam kiya hala k unho ny kuch kam nhi kiya ye khatrnak dehsht gard kab pakry jayengyy kon in ki madad kar raha hai? sehron mai aye din bomb dahmaky jin mai sab say zaida dehshat gardi ka nishana karachi ko banaya jata hai in dehshat gardon ny karachi ko khoon mai nehla diya .Thursday, 28 February 2013
mehngaeii ny awam ko mar diyaaaa
Mujoda hukumat ny awam ko zor dar jhatka diya hai or petrol ki qimaton mai izafa kar diya hai mehngagiii ka jo bomb hukomat ny awam par phoraaha hai us say aam awam bhot zaida paryshan hai gareeb awam ko mujoda hukomat ny maflooj kar k rakh diya hai mujoda hukomat ny awamm ko aath ath anso rula diya pechly panch salon mai sirf mehngaeee barhany k ailwa keya hi kiya hai petrol ki qimaton mai izafay say har cheez asman say baten karny lagi hai yahn petrol ki qimaton mai izafa howa udhar transporters ny karaya barhany ka mutalba kar diya hai humkot ko chahyee petrol ki qematon ko kam kary .
Tuesday, 19 February 2013
shehar mai dharny
pora pakistan aj jaal raha hai har taraf jahn dekho wahan dehshat gardi hai magr koi nhi hai jo awam ko in zalimon say bacha saky ab to ye aam si bat hogae hai yahn tak k ab to log dharna dayny par mojbor hochuky hain kisi k jano maal mehfuz nhi hai log apny piyaro ka janaza liye howy dharna day rahain magr jb k mulk mai hukomat to aisa lagta hai hai hi nhi aye din bombblast hoty rehty hain target killing itni aam si baat ban gyae hai k ab to awaam bhi in sab chezon ki adi chuki hai pata hi nhi chalta k kab halat kharab hojatay hain aisa maloom hota hai in dhehshat gardon k pechy bary bary logon ka hath hai q k jab ye log chahty hain halat kharab kara dayty hain magr roz to mazloom awam mar rahi hai awam k liye to koi kam nhi ho raha hai ? hukomat itni behis q hai? khud to hamary hukmaran aisy hain k apni jan ko bachany k liye bullet prof gharon mai chupy rehty hain in ko khali apni jaaan piyari hai baqi chahai awam marti hai to mary inhai kiya ab to mulk ki gali gali mai ehtajaj ho raha hai awam dharna dayny par majboor hochuki hain or ye dharny pata nhi kab tak chalyengy quetta mai is saniyeh k bad pory mulk mai dharny diye ja rahai hain .
Thursday, 14 February 2013
sochana hai
sochna hoga :
kiya zarori hai k har tehwar manaya jayee jaisy aj logn ny por josh tareeqy say valentine day manaya har jaga jahn dekho surk rang ki chaezn nazr arrahi thi sarkon, bazaron mai sirf surk surk hi chaezn mujod thi angrezon ki ijad karda valentine day ko mosalmano ny khoob josh o kharosh say manaya kiya kabhi kisi ny ye socha hai kiya angrezon ny kabhi eid, bakra eid manee hai ya koi bhi mosalmano ka koi bhi tehwar manaya hai ? unho ny to kabhi nhi manaya to mosalmano ko kiya hogaya hai wo q fazool k tehwar manay lagy hain waisy to hum angrezon ko pasand nhi karty magr un k tehawaron ko bary shoq say manaty hain tabhi to mosalman pasti mai jaty ja rahai hain q k musalaman apny deen ko bhool chuky hain or wo angreez jin ho ny ye sab is waja say nikala hai taky musalaman in sab chezon mai uljhen rahin tabhi to wo aj itni tarakqii par hain musalamno say suu qadam agyy hain or hum in fazool rasam o mai phasy howen hain akhir kab hum in chakaron say bahr niklengy..........
Wednesday, 13 February 2013
haqiqat
HAQIQT:
pakistan mai is bar intkabat hongy bhi ya nhi ye sawal har pakistani k zehan mai hai or agr hongy to kiya wo shafaf intakhabt hongy is bar bhi kahin bachri awam ko khoon k ansu to nhi rona pary ga q k ab to long march ka darma bhi khatam howa jo tarhul qadri sahab ny kiya tha mazlomiyat ka jo dhoong wo rachah rahain hain us say to yehi maloom hota hai k wo mujooda hukomat say mily howen hain or hmary hukoomat chahti hi nhi hai k intakhabt hon q k hamry mujoda humaranoo ko apni kursii cheen jany ka dar sata raha hai or aisa mehsoos ho raha hai k intakhabt shayad hi shafaf hon hamary mujooda hukomat to aisi hain k aisa mehsoos hota hai k mulk mai hukomat hi nhi hai hamen ek aisa hukmara chayee jo mulk ko banee mulk ki tarikqi k liye kam kary jo mulk k mostaqbil k bary mai sochy aisy naye naye mansoby banaye jis say mulk mai development ho or berozgare ka khatma ho na k aisa hukmaran nhi chayee jo apny lash kar k sath beron mulk imdad ki bheek magny jayee kursi ko apny liye use kary mulki khazany ko apny bankon ki zinat banayee ham ab chup nhi beth sakty hamen apni awaz ko bolland karan hoga zara sochiyee!!!!!!!!!!!Sunday, 10 February 2013
saher mai khoon rayziii
shaher mai khoon rayzi:
karachi mai roz hi na haq log mary jaty hai 2008 say ye silsilla chal raha hai jo k ab is mai bhot hi shidat paye ja rahi hai or hamri hukomat dahshat gardi ko rokny k liye koi bhi iqdamat nhi kr rahi hai dehshat gardi ka sab say zaida nishana karachi ban raha hai q k pory mulk ko sb say zaida kama k dayny wala sehr yehi hai is waja say yahn pay zaida qatlo garat geri hai or hukomat is k khilaf koi action nhi lay rahi hai aisa maloom hota hai k hukomat name ki cheez hi nhi hai mulk mai har roz karachi khoon bahara hota hai kabhi kisi molanana ko mar diya jata hai to kabhii kisi tanzeem k logn ko mar diya jata hai or aye din tulba bhi mary jaty hain to aye din khudkosh hamlon mai hazaron mazloom awam mari jati hai or jab ye tamaam waqiyat hojaty hain to baad mai hmarii police, rangers or qanoon nafiz karny waly idary wahn pochty hai jb k pehly say koi bhi iqdamat nhi kiye jaty taky dehshat gardii na hoo bachy,bohry ,jawan koi bhi is mulk mai mehfuz nhi hai.
Subscribe to:
Posts (Atom)

