Thursday, 28 February 2013

mehngaeii ny awam ko mar diyaaaa

Mujoda hukumat ny awam ko zor dar jhatka diya hai or petrol ki qimaton mai izafa kar diya hai mehngagiii ka jo bomb hukomat ny awam par  phoraaha hai us say aam awam bhot zaida paryshan hai gareeb awam ko mujoda hukomat ny maflooj kar k rakh diya hai mujoda hukomat ny awamm ko aath ath anso rula diya pechly panch salon mai  sirf mehngaeee barhany k ailwa keya hi kiya hai petrol ki qimaton mai izafay say har cheez asman say baten karny lagi hai yahn petrol ki qimaton mai izafa howa udhar transporters ny karaya barhany ka mutalba kar diya hai humkot ko chahyee petrol ki qematon ko kam kary .

Tuesday, 19 February 2013

shehar mai dharny

pora pakistan aj jaal raha hai har taraf jahn dekho wahan dehshat gardi hai magr koi nhi hai jo awam ko in zalimon say bacha saky ab to ye aam si bat hogae hai yahn tak k ab to log dharna dayny par mojbor hochuky hain kisi k jano maal mehfuz nhi hai log apny piyaro ka janaza liye howy dharna day rahain magr jb k mulk mai hukomat to aisa lagta hai hai hi nhi aye din bombblast hoty rehty hain target killing itni aam si baat ban gyae hai k ab to awaam bhi in sab chezon ki adi chuki hai pata hi nhi chalta k kab halat kharab hojatay hain aisa maloom hota hai in dhehshat gardon k pechy bary bary logon ka hath hai q k jab ye log chahty hain halat kharab kara dayty hain magr roz to mazloom awam mar rahi hai awam k liye to koi kam nhi  ho raha hai ? hukomat itni behis q hai? khud to hamary hukmaran aisy hain k apni jan ko bachany k liye bullet prof gharon mai chupy rehty hain in ko khali apni jaaan piyari hai baqi chahai awam marti hai to mary inhai kiya ab to mulk ki gali gali mai ehtajaj ho raha hai awam dharna dayny par majboor hochuki hain or ye dharny pata nhi kab tak chalyengy quetta mai is saniyeh k bad pory mulk mai dharny diye ja rahai hain .

Thursday, 14 February 2013

sochana hai



sochna hoga :

kiya zarori hai k har tehwar manaya jayee jaisy aj logn ny por josh tareeqy say valentine day manaya har jaga jahn dekho surk rang ki chaezn nazr arrahi thi sarkon, bazaron mai sirf surk surk hi chaezn mujod thi angrezon ki ijad karda valentine day ko mosalmano ny khoob josh o kharosh say manaya kiya kabhi kisi ny ye socha hai kiya angrezon ny kabhi eid, bakra eid manee hai ya koi bhi mosalmano ka koi bhi tehwar manaya hai ? unho ny to kabhi nhi manaya to mosalmano ko kiya hogaya hai wo q fazool k tehwar manay lagy hain waisy to hum angrezon ko pasand nhi karty magr un k tehawaron ko bary shoq say manaty hain tabhi to mosalman pasti mai jaty ja rahai hain q k musalaman apny deen ko bhool chuky hain or wo angreez jin ho ny ye sab is waja say nikala hai taky musalaman in sab chezon mai uljhen rahin tabhi to wo aj itni tarakqii par hain musalamno say suu qadam agyy hain or hum in fazool rasam o mai phasy howen hain akhir kab hum in chakaron say bahr niklengy..........  

Wednesday, 13 February 2013

haqiqat


HAQIQT:

pakistan mai is bar intkabat hongy bhi ya nhi ye sawal har pakistani k zehan mai hai or agr hongy to kiya wo shafaf intakhabt hongy is bar bhi  kahin bachri awam ko khoon k ansu to nhi rona pary ga q k ab to long march ka darma bhi khatam howa jo tarhul qadri sahab ny kiya tha mazlomiyat ka jo dhoong wo rachah rahain hain us say to yehi maloom hota hai k wo mujooda hukomat say mily howen hain or hmary hukoomat chahti hi nhi hai k intakhabt hon q k hamry mujoda humaranoo ko apni kursii cheen jany ka dar sata raha hai or aisa mehsoos ho raha hai k intakhabt shayad hi shafaf hon hamary mujooda hukomat to aisi hain  k aisa mehsoos hota hai k mulk mai hukomat hi nhi hai hamen ek aisa hukmara chayee jo mulk ko banee mulk ki tarikqi k liye kam kary jo mulk k mostaqbil k bary mai sochy aisy  naye naye mansoby banaye jis say mulk mai development ho or berozgare ka khatma ho na k  aisa hukmaran nhi chayee jo apny lash kar k sath beron mulk imdad ki bheek magny jayee kursi ko apny liye use kary mulki khazany ko apny bankon ki zinat banayee ham ab chup nhi beth sakty hamen apni awaz ko bolland karan hoga zara sochiyee!!!!!!!!!!!

Sunday, 10 February 2013

saher mai khoon rayziii




shaher mai khoon rayzi:

karachi mai roz hi na haq log mary jaty hai 2008 say ye silsilla chal raha hai jo k ab is mai bhot hi shidat paye ja rahi hai or hamri hukomat dahshat gardi ko rokny k liye koi bhi iqdamat nhi kr rahi hai dehshat gardi ka sab say zaida nishana karachi ban raha hai q k pory mulk ko sb say zaida kama k dayny wala sehr yehi hai is waja say yahn pay zaida qatlo garat geri hai or hukomat is k khilaf  koi action nhi lay rahi hai aisa maloom hota hai k hukomat name ki cheez hi nhi hai mulk mai har roz karachi khoon bahara hota hai kabhi kisi molanana ko mar diya jata hai to kabhii kisi tanzeem k logn ko mar diya jata hai or aye din tulba bhi mary jaty hain to aye din khudkosh hamlon mai hazaron mazloom awam mari jati hai or jab ye tamaam waqiyat hojaty hain to baad mai hmarii police, rangers or qanoon nafiz karny waly idary wahn pochty hai jb k pehly say koi bhi iqdamat nhi kiye jaty taky dehshat gardii na hoo bachy,bohry ,jawan koi bhi is mulk mai mehfuz nhi hai.