Monday, 4 March 2013


karachi ko khoon mai nehla diya gaya:

karachi mai dehshat gardi is qadar bhar gaye hai k log ab apny ghron mai bhi mehfuz nhi hain guzista din karachi k eilaqy abas town ko dehshat gardon ny nishana banaya or 52 masoom afrad ko mout ki nend sula diya or eik dhamky k baad foran hi dosra dhamaka howa logn ny apni maadad ap k tehat imdadi kam kiye q k hamari hokomat hamisha ki tarha so rahi thi police,rangers apny apny gharon mi aram farma rahi thi or is sanihy k bad bhi na to police pohchi or na hi hamry hukmarno ny pocha q k unko mulk ki  kuch fikar ho tab na unhai to bas apni kursi say piyar hai abas town mai qayamt sugrah agayee or is naqis hukomat ny kuch nhi keya halaky in ko pehly say pata sab hota hai  pashangoyan karty rehty hain magr dehsshat gardon ko kabhi nhi pakrty akhir q? ye masoom awam ko marna q  chahty hain? akhir kab karachi mai aman hoga? roz hi bara say pandra afrad mary jaty hain in ki hukomat mai takreeban das hazar logn ko karachi mai mar diya gaya magr hmari hukomat ny kuch nhi kiya wohi awam say jhoty wady k hum ny ye kam kiya wo kam kiya hala k unho ny kuch kam nhi kiya ye khatrnak dehsht gard kab pakry jayengyy kon in ki madad kar raha hai? sehron mai aye din bomb dahmaky jin mai sab say zaida dehshat gardi ka nishana karachi ko banaya jata hai in dehshat gardon ny karachi ko khoon mai nehla diya .