Tuesday, 19 February 2013
shehar mai dharny
pora pakistan aj jaal raha hai har taraf jahn dekho wahan dehshat gardi hai magr koi nhi hai jo awam ko in zalimon say bacha saky ab to ye aam si bat hogae hai yahn tak k ab to log dharna dayny par mojbor hochuky hain kisi k jano maal mehfuz nhi hai log apny piyaro ka janaza liye howy dharna day rahain magr jb k mulk mai hukomat to aisa lagta hai hai hi nhi aye din bombblast hoty rehty hain target killing itni aam si baat ban gyae hai k ab to awaam bhi in sab chezon ki adi chuki hai pata hi nhi chalta k kab halat kharab hojatay hain aisa maloom hota hai in dhehshat gardon k pechy bary bary logon ka hath hai q k jab ye log chahty hain halat kharab kara dayty hain magr roz to mazloom awam mar rahi hai awam k liye to koi kam nhi ho raha hai ? hukomat itni behis q hai? khud to hamary hukmaran aisy hain k apni jan ko bachany k liye bullet prof gharon mai chupy rehty hain in ko khali apni jaaan piyari hai baqi chahai awam marti hai to mary inhai kiya ab to mulk ki gali gali mai ehtajaj ho raha hai awam dharna dayny par majboor hochuki hain or ye dharny pata nhi kab tak chalyengy quetta mai is saniyeh k bad pory mulk mai dharny diye ja rahai hain .
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment