TALEEM PAKISTAN KI ZARORAT
Pakistan
mai din ba din taleem ka rojhan kam say kam hota chala ja rah hai
hanlaky taleem hasil karna har insan ka haq hai magar hamary mulk mai
sirf 55% fisad log taleem yafta hain yehi waja hai k hum takqee yafta
momalik say bhot zaida pechy reh gayen hain kyon k hamary yahan taleem
ki bhot kami hai agar taleem hi nhi hogi to hum kis tarha dosri takqee
yafta qumon ka muqabla karengy taleem hasil karna to har mard orat par
farz hai magar hamara mulk jis ka naam islami jamhoriya pakistan hai
yahan to taleem ka fuqdan hai or uper say sony pay sohaga hamary
hukmaran jinhon nay taleem par kabhi tawaja nahi di taleemi idaron ka is
qadar naqis haal hai k wahan taleem kay bajayee bhensoon k baray bana
diye gayen hain ye to hamaray mulk mai taleemi idaron ka haal hai hamary
mulk k deehii ilaqon mai taleemi idaron ka bhot bura haal hai jahan
asatza hi taleemi idaron mai mujood nhi hoty hain aisay halat mai tulba
taleem hasil karny say qasir hain hamary mulk mai bhot zaida log aisay
hain jo apny bacho ko taleem hasil karanay ka bajaye un say kam karwaty
hain kyon k un k pas itnay wasayil hi nahi hotay hain kay wo apnay
bachon ko taleem hasil kar wa sakayen magar afsos hamari hukomat is par
koi tawajja nahi dayti hai in hukomarano ko apni jaiben bharnay say
forsat hi kahan hai hamary budget ka khali do fisad taleem par kharch
kiya jata hai jo kay bhot hi choti sharah hai pakistan kay taleemi nizam
mai bhi firqawariyat basi howi hai gareeb kay bachon kay liye taleem ka
miyar kuch aur hai or ameer kay liye kuch or hai hamary mulk mai taleem
ko tejarat bana diya gaya hai aur taleem paison say milti hai or paisa
hasil karnay k liye li jati hai jab kay taleem ka maqsad paisay ka
husool nahi balkay logon ko shaoor hai or aik acha insan or aik acha
shehri banana hai hamray mulk mai sab say gair ehm taleem ko samjha jata
hai agar hamary mulk mai taleem ka shoba durost kar diya jaye to bhot
say bary masayel hal ho sakty hain jis mai aik bara masla dehshat gardi
ka hai jo taleem kay zariye logon ko shaoor day kar khatam kiya ja sakta
hai.
No comments:
Post a Comment