KEYA YE THA QUAID-E-AZAM KA PAKISTAN?
Quaid-e-azam
ny jab Pakistan banaya to unho ny ye khawab dekha tha k ye mulk tarakqe
yafta mulk banyga or yahn k log ab sakon say apni zindagi guzar sakengy
q k Pakistan is waja say wajod mai laya gaya tha k hindustan mai jo
muslamno k sath hony wali zaiyadti or tashdood say wo nijate hasil kar
saken agarchy hindustan mai bhot si qumain abad thin jin mai hindu or
muslim do bari quomen thin jin k apas mai akhtalafaat bhot zaida barh
gae thy to quaid-e-azam or hamry bary bary rehnomaion ny ye socha k
hindu or muslim alg alg quomain hain ye aik sath mil kar nhi reh saktin
is liye musalmon k liye aik alg mulk banaya gaya jahn musalman sakon say
reh saken jahn koi firqawarana fasadaat na hon magar afsos Quaid-e-azam
ka ye khowab to chiknachor hogaya q k yahn to har taraf firqawarana
fasadaat or taassub phel chuka hai hamary quaid ny to jamhoriyat chahe
thi magar badqismati say Pakistan ko kabhi sahee jamhoriyat mil hi nhi
saki pakistan zaida tar amriyat k zamray mai raha Quaid-e-azam or
Liaquat ali khan k bad jo bhi aya us ny mulk k bajaye apni tarakqi k
liye koshishen ki or mulk ko beroni momalik or beroni idaron k qarzon
mai jakar diya or ab hamri anny wali naslen bhi in ki maqrooz hain
Pakistan ko waisay to bany howy 65 saal chuky hain magar aj tak un
maqasid par amal nhi keya gaya jin ko madday nazar rakhty howy Pakistan
wajood mai laya gaya tha Pakistan banny say pehly jo qarardad manzor
howi thi wo 1940 ki qarardad maqasid thi is k taqreban sath saal bad
pakistan wajod mai aya ye mulk hum ny lakhon logon ki janoon ka nazrana
day kar hasil keya tha Quaid-e-azam qayam pakistan or qayam pakistan say
paida hony waly masail ko hal karny mai abhi masroof thy k qudrat ki
taraf say bulawa agaya abhi quam un k gham ko bholi nhi thi k Liaquat
ali khan k qatal ka sanyha paish agaya us waqt say lay kar ab tak
pakistan baironi or androni jangen lar raha hai in k bad jo hukmaran aye
unho ny pakistan ka naqsha hi badal diya Pakistan ko do hisson mai
taqseem kar diya gaya mashreeqi pakistan or maghribi pakistan mashreeqi
Pakistan Bangladash ban gaya or unho ny pakistan ko dosry mulkon ki
jangon mai shamil kar diya jis ki waja say Pakistan ko bhot noqsan ka
samna karna para hai naqis hukomaranon ny mulk ko aisa kar diya k mulk
maashii badhali ka shikar hogaya hai jo atta tha wo apni jeban bhar kar
chala jata tha or aj tak yehi ho raha hai Quaid-e-azam ny Pakistan is
liye banaya tha k wo zameen ka asia hissa ho jahn musalman azadi say
apny deen par amal kar saken aur tamam mazhib ko is ki azadi ho tamam
logon ki janno maal izat o abroh mehfoz rahai or aik taleemyafta or
bashoor awam ho magar afsos in maqasid mai say koi bhi maqsad pora na ho saka keya ye tha Quaid-e-azam ka Pakistan?
No comments:
Post a Comment